
Lucknow mein Guru Nanak Dev Ji ke 557vein Prakash Parv par bole Yogi: “Ek Onkar” ne samaj ko joda, Sikh guruyein ke balidan se surakshit hai desh ki pehchan
Sikh dharm ke sansthapak aur pratham Guru Shri Guru Nanak Dev Ji ke 557vein Prakash Parv par mangalvar ko Lucknow mein vishesh samaroh hua. Aishbagh Road sthit DAV PG College maidan mein ayojit is karyakram mein Mukhyamantri Yogi Adityanath shamil hue. Unhonne Sikh samuday ko shubhkamnayein diin aur Guru Nanak Dev Ji ke jeevan tatha […]

“Ek Onkar” ka sandesh
Mukhyamantri ne kaha ki Guru Nanak Dev Ji aise daur mein aaye, jab samaj bikhra hua tha aur videshi taakatein logon ko pareshan karti thin. Us samay unhonne “Ek Onkar” ka mantra diya, jisne samaj ko ek saath joda. Unke anusaar Guru Nanak Ji ki shikshayein anyay ke khilaf khade hone ki prerana deti hain aur dharm tatha satya ki jeet ka sandesh deti hain.
Teen siddhant
Yogi ne Guru Nanak Dev Ji ke teen pramukh siddhanton ka zikr kiya: Naam japo, Kirat karo aur Vand chhako. Unhonne kaha ki Ishwar ka smaran, imaandari se parishram aur apni kamai mein dusron ki bhagidari jeevan ko sarthak banati hai. Unke anusaar Sikh guruyein ke tyaag aur balidan se hi Bharat ki pehchan surakshit hai.
Kartik Purnima aur Kashi ka zikr
Mukhyamantri ne kaha ki Kartik Purnima ki shaam Kashi mein lakhon deepak jalaye jayenge. Manyata hai ki isi din Bhagwan Shiv ne rakshas Tripurasur ka vadh kiya tha, isliye yeh aayojan har jagah utsah ke sath manaya jata hai.
Veer Bal Diwas aur Kartarpur ki kaamna
Yogi ne bataya ki Lucknow ke gurudwaron ke sahyog se Mukhyamantri Awas mein 26 December ko Veer Bal Diwas manane ki parampara shuru hui thi. Unhonne kaamna ki ki Lucknow ke shraddhalu Nankana Sahib aur Kartarpur Sahib mein ayojit hone wale karyakramon mein shamil ho saken.


