
Siddharthnagar mein CHC ke bhumipujan mein manch par bawaal: Vidhayak ka naam lene par bhide BJP sansad aur sahyogi dal ke vidhayak ke samarthak, kurta phata; sansad bole- “janta ne peeta”
Uttar Pradesh ke Siddharthnagar mein samudayik swasthya kendra (CHC) ke bhumipujan karyakram mein manch par BJP ke Dumariyaganj sansad Jagdambika Pal aur Apna Dal (S) ke Shohratgarh vidhayak Vinay Verma ke samarthak aapas mein bhid gaye. Aarop hai ki vivad manch se vidhayak ka naam na lene ko lekar shuru hua aur maarpeet tak pahunch […]



